Hdfc bank se personal loan kaise lete hain
HOW TO GET PERSONAL LOAN FROM HDFC BANK
HDFC BANK personal loan method:-
Doston Aaj hum aapko batayenge ki HDFC
BANK se personal loan kaise le sakte hain , HDFC BANK se
personal loan lena hai to aapko konse konse paper hona zaruri hai aur konse
konse bank ke terms and condition per HDFC BANK personal
loan deti hai , HDFC BANK se agar aap ko loan
lena hai to aap logon ko kitne amount tak personal loan milta hai , aur liye
gaye loan amount ko wapas karne ke liye aap logon ko kitne time ya mahino ka
samay milega , jisse ki loan dene main aasaani ho , loan lene ke baad aapko
kitne % ka intrest dena hoga , loan miljane ke baad kon kon se HDFC BANK ke charge dene honge , in sab ki jankari aaj
hum aap ko is post main bataenge , chaliye jante hain.
HDFC BANK se agar loan lete hain to unke fayde kya
hote hain , sabse pehle kuch faydon ke bare main jaanlete hain .
1- App HDFC BANK ke pre
approved customer hain , is ka matlab hai ki aapko HDFC BANK ki taraf se
offer kiya gaya hai ki aap jo hai itne amount tak ka personal loan lesakte hain
, agar aap ko HDFC BANK se personal loan lena hai to aap
sirf kuch hi second main yani 9 se 10 second main loan ko apne bank account
main lesakte hain, iska matlab hai ki
aap HDFC BANK se sirf 10 second main personal
loan aasaani lesakte hain .
2- aur agar aap HDFC BANK ke pre approved customer nahi
hain matlab ki agar aap khud se HDFC BANK se personal loan lena chahte
honge to is situation main HDFC BANK se aap ko loan lene main lagbhag
4 se 5 ghante lagenge .
3- Agar aap ne online se bhi HDFC BANK se loan apply kiya hua hai to
bhi aap ko 4 se 5 ghante lagsakte hai .
4- HDFC BANK se aap ko bahut saare insurane
policy bhi milsakti hai , jaise ki agar aap log HDFC BANK se loan lete hain to personal
accident cover milsakta hai , aur personal loan security bhi milsakti hai ,
5- Agar aap HDFC BANK se personal loan lete hain to
iska ka koi bhi hisaab kitaab nahi liya jata hai ,
6- HDFC BANK aapko 24 ghante madad ke liye ready rehti hai , aap HDFC se call ke zariye ya chat ke zariye madad lesakte hain
Mere pyaare doston HDFC BANK ke kuch fayde jo ki personal loan lene se milte hain , waise to HDFC BANK ke kae saare fayde hain aur agar aap log un faydon de bare main aur bhi details main janna chahte hain to aap log HDFC BANK ke official website per jakar ke bhi jaansakte hain .
ALSO READ THIS POST HOW MANY TYPES OF BANK LOAN IN INDIA
ye bhi padhen
BHARAT MAIN KITNE TYPE KE BANK LOAN HOTE HAIN
ELIGIBILITY
Ab hum baat karenge ki kon kon se logon ko hdfc bank se personal loan milsakta hai , aapko batayenge sab se pehle konsi cheez hoti hai ,
1. agar aap HDFC BANK se loan lena chahte hain to aap ka kahin na kahin job yani ke aap kaam pe hona chahiye , koi bhi private limited firm ya company main , state and local bodies main , public sector undertaking main , central job main , government job ho ya private jon ho , lekin job hona chahiye , bus phir kya hai aap logon personal loan aasaani se lesakte hain .
2. Loan lene wale ki age yani umer aap jiske naam pe loan lerahe hain unki age 21 se 60 saal ke beech main hona chahiye .
3. jiske liye HDFC BANK se personal loan le rahe hain unki naukri kam se kam 2 saal ka samay complete hona chahiye , aur jis jaga naukri karrahe hain wahan kam se kam 1 saal se naukri karrahe hain ye bhi zaroori hai .
4. Aur saath hi saath jin ke liye loan lerahe hain unka salary account HDFC BANK main ho aur unki income kam se kam 25000/- rupees mahina salary honi chahiye , aur agar loan lene wale ka account agar HDFC BANK main nahi hai to uski mahine ki income kam se kam 50,000/- rupees hona chahiye .
DOCUMENTS REQUIRED
1.Agar hum baat Karen document jo personal loan lene ke
liye lagte hain to document main sab se pehle jo document lagega wo hain
2. Aapko loan lene wale insaan ka
identity proof jaise ki (pan card , aadhaar card , passport , driving license
,voter id , etc...) original document ki copy deni hogi .
3. loan lene wale ka address
proof dena hoga jismain ki aap ka (pan card , aadhaar card , passport , driving license
,voter id , etc...) ki copy desakte hain .
4. Aapki bank ki pass book ka
latest 3 month ka statement dena hoga ya phir bank passbook ki photo copy jo 6
month ki statement ho .
5. Aapko HDFC BANK se personal loan lene ke liye bank ko
2 mahine ka latest salary slip bhi dena hoga .
Mere pyaare doston to ye sab documents
dene hote hain jab HDFC BANK se loan lena hota hai .
HOW TO TAKE PERSONAL LOAN
Ab hum
bataenge ki HDFC BANK se
personal loan kaise apply Karen , personal loan apply karne ke bhi 2 tarike
hain ,
First Method
1- HDFC BANK
ke website pe aapko jana hoga , aur wahan per personal loan ke option per click
karke apni kuch personal details deni hoti hai aur loan ke liye apply Karen .
Second Method
2- dusra tarika hai offline ka jismain , is ke liye aapko bank jana padega aur wahan per aapko personal loan executive se baat karni hogi , tab aap ko ek (1) bank se form diya jayega us form ko aapko fill karna hoga , aur form ko submit kardena hoga ,
In do tarikon se aap log HDFC BANK se personal loan ke liye apply karsakte hain .
Mere pyaare doston agar aapko meri ye post achchi lagi ho ya aap logon ko is post se kuch jankari mili ho to is post ko apne doston ya jisse loan ki zarurat hai unke sath share Karen . aap logon ne apna goldan samay diya , aap logon ka bahut shukriya
If You Have Any Doubt Please Let Me Know
Thank You ConversionConversion EmoticonEmoticon